Thursday, October 26, 2017

Skin Care Beauty Tips In Urdu Jild K Totkay Twacha Ke Gharelu Upay In Hindi

Home Remedies For Face Beauty Tips For Women


Skin Ko Gora Karne Ke Tarike Rang Nikharne Ke Gharelu Nuskhe


Khawateen Ke Jild Kay Masail aur Unka Hal:-



* Rang Gora Karne Ka Asan Tarika



Raat ko 1 glass paani ubaal kar rakhein, aur us mein 1 desi gulab, sufaid zeera aadha 1/2 chamuch, 1 chutki Methi daana, aadha chammach sufaid Pudina daal kar raat ko hi dhanp kar rakh dein.Subh Nihaar moonh (1/4 cup) aik chothaie cup pee lein. Ye paani 5 din kay liye kaafi hoga. Isse 2 months tak mosalsal istemaal karein.




Shiny Skin Tips In Urdu Chamak Daar Jild:


2 chamach Jow ka atta, 1 timaater, 1 darmiyani size ka kheera, 3 chamuch dahi(yogurt), Aadha chammach Haldi, 1 chamuch lemon ka russ lay kar sab cheezon ko blend karnay kay baad chehray par 10 minutes laga rehnay dein. Aur phir ragar kar dho lein. Aap isay pooray jism par bhi laga saktay hai.Is kay istemaal say aap kaafi farq mehsoos karein gay.

* Blackheads Blackheads Remove Permanently In Urdu:


Akhrot ka tail 50ml,Badaam ka tail 50ml,Castor oil 25ml, in teenon Tailon ko achi tarah mila lein. 8say10 qatray munh par lagayen, 5 minutes baad face dho lein. Ye amal khushk jild kay liye hai, is say blackheads khatm honge aur chehraa nikhar jaaye ga. Iskay elawa normal jild kay liye brown sugar mein lemon kar russ mila kar chehray par lagain, aur phir tissue paper say saaf kar lein. 5din mosalsal istemaal say bohat faida hoga.

* Acne Scars Ka Ilaj Acne Kay Khadday:



Aadha 1/2 cup paani mein aadha 1/2 chamuch Methi daana pees kar daalein, aur itna pakaian kay is mein lase aajaye. Sirf khaddon par 20 minutes laganay kay baad saaday paani say munh dho lein. 3say4 months kay under aapka masla theek ho jaye ga.

* Masam Band Karne Ka Totka Khulay Pors Ko Band Karnay Ke Liye:

Chehre K Masam Band Karna


Arq e gulaab mein lemon ka ras mila kar rakh lein aur chehray par iska spray karein. Iskay elawa pors ko band karnay kay liye kheeray kay goal qatlay (slide) kaat kar chehray par malein.

No comments:

Post a Comment

Recommended for You!