Thursday, October 26, 2017

Sardiyon Ki Soghat Akhrot Ke Chilke Ke Fayde In Urdu Singhara Khane Ke Fayde Kaju Khane Ke Kya Kya Fayde Hai In Hindi

Sardiyon Ki Faida Mand Ghizayen Peanut Ke Faide In Urdu


Benefits of Dry Fruits In Urdu/Hindi


Dry Fruit Benefits In Hindi Khushk Mewa Ke Fayde Dried Winter Fruits


Sardiyon ka Mausam shuroo hote hi jahan bohat si tabdeliyan waqia hoti hain wahan Allah apni Qudrat ke khazane se beshumaar phal, sabziyan aur meway Sardiyon ki soghat ki shakl mein ataa farmata hai. Taa k hum inse bharpoor tariqe se faida hasil kar sakein.Mausam ki tabdeeli ke manfi asraat ko khatam karne ke liye Insani jism mein morakkubat ki kami nahi honi chahiye.Vitamin A,E&C copper, celinium aur zinc mausmi tabdeeli ke asraat ko khatam karne mein ehum kirdaar adaa karte hain. Aaj hum app ko Mausam e sarmaa ki soghat,phal aur sabziyon ke faidon ke motalliq bataein ge.Jo hamare liye Qudrat ki tarf se Sardiyon ka behtreen tohfa hai.




Sunghara: Singhara Khane Ke Fayde:-


Ye market mein asaani se mil jaate hain.Magar ye zyada kache ya ubaal kar Mausam e sarma mein khaaye jaate hain.Ye medaa aur dil ko quwwat deta hai.Garmi aur piyaas bojhaata hai.Sufraa ko door karta hai aur Khufqaan ko rafaa karta hai. Anaar: Anaar ka sharbat peene se jism mein tanaao ke Harmoonz ki satah kam hi jaati hai,jis se blood pressure bhi kam hota hai.Iski taseer motdal hai.Peshaab aawar aur pyaas bujhata hai. Ehum aazaa khaas tor par Jigar ko quwwat deta aur khoon paida karta hai.

Moongphali: Mungfali Khane Ke Fayde Hindi Me:-


Moong phali mein Lahmiyaat ki aik bari miqdar mojood hai Jo insani jism ke andar Nitrogen ke balance ko barqarar rakh sakti hai.



Maghziyaat: Char Magaz Ke Fayde In Urdu:-


Maghziyaat mukhtalif madniyaat ka zakheera hain,jaise k Till k 100g mein taqreeban 1.5g ke qareeb calcium paya jaata hai.Ye madniyat Ionz ke tawazun ko barqarar rakhne mein qabil e zikr kirdaar anjaam dete hain.

Anjeer: Anjeer K Faiday In Urdu:-


Anjeer ko khaane se aantein saaf rehti hain, aur isse taaza khaya jaye ya khushk magar nizam e hazam ke liye iske fawaid barabar hai. Aaj kal Fishaar e Khoon ki bimari bhi aam hai. Khaas tor par khoon ke pressure mein kami ya low pressure ke baare mein shikayat suni jaati hain,aur log ghair zaroori tor par dawaaon ke istemaal ke aadi ho rahe hain.lekin iss marz ka shafi ilaaj bhi Anjeer hai jise khaane se khoon ka pressure normal ho jaata hai.

Akhrot: Khane Ke Fayde In Urdu Akhrot:-


Akhrot mein shaamil Omega Fatty Acid naam ki chiknai dimaghi amal ko behtar bana kar Depression ka muqabla karne ki taaqat mein izafa kar deti hai.Isme Melatonin naam ka Acid (aik qism ka zammad) mojood hota hai, Jo jism ke androni nizaam ke bohat se hison (parts) ko chalaane ka zimmedar hai.Lehaza jab jism mein Melatonion ki miqdar poori hoti hai to aap raat bhar purr sukoon neend le sakte hain.

Kaju: Kaju Khane Ke Fayde In Urdu:-


Sardiyon ke mausam mein humein apni sehat ki behtri ke liye khushk mewa zaroor istemaal karne chahiye.in giree waale meiwon mein aik khush zaiqa meiwa Kaaju bhi hai.Isse nihaar moonh shehad ke sath khaane se Nasiyaan ke marz mein afaqa hota hai.Ye thunde mizaaj afraad ke liye bhi mofeed ghiza hai.Iske chilkon ka tale sirkaa mein bhigo kar hasil karte hain Jo k Agzima aur aatshak mein maalish karne se faida deta hai. Iske Maghz ka murabba dil o dimaag ko taaqat deta hai.Jism ke masson aur phoray phunsi ko khatam karne ke liye iska tale istemaal kiya jaata hai.

No comments:

Post a Comment

Recommended for You!