Thursday, October 26, 2017

Baal Naram Karne Ka Tarika Balo Ke Masail In Urdu Baal Girna Rokne Ke Upay In Hindi

Different Hair Problems And Their Solutions

Baal Kay Mukhtalif Masail Ka Solution Desi Totkay for Hair Problems


Hamaray haan baal, jild aur wazan ke Masail kay baaray mein log khaas tor par khawateen bohat pareshan dekhai deti hain. Lekin in Masail ke motalliq ab aapko pareshan honay ki koi zaroorat nahi.Balkay mustaqil mizaji kay saath darj zail totkon mein say kisi bhi totkay ko istemaal karein.Yaad rakhein kisi bhi maslay ka hal raaton raat nahi ho sakta,balkay iskay liye sabr aur istaqamat ki zaroorat hoti hai.Sabr ka phal bohat meetha hota hai. Lehaza aap in totkon ko apni zindagi ka mamool banayein aur baal, jild aur wazan ke Masail ko khatm karnay ki taraf apna qadam barhaein.

Hair Care Tips In Urdu For Girl Hair Home Treatment In Hindi


(1) Baalon kay Masail:-

* Baal girna band:

80g neem ka tail aur 40g khopray ka tail mila kar rakh lein aur baalon ki jaron mein 5 minutes massage karein.Kam az kam 2 ghantay tail jarron mein laga rehnay dein,phir sir dho lein.


* Baalon kay Tamam Masail kay liye:

Kaahu ka tail, meethay badaam ka tail, Castor oil, Zaitoon ka tail, neem ka tail, ye saaray tail 50,50ml ki miqdar mein achi tarah mila lein.Phir is mein 2 vitamin E kay capsule mila kar kisi bottle mein bhar kar rakh lein aur rozana baalon ki jaron mein lagaein.


* Baal narm o mulaim karnay kay liye:

3 chamuch Aloe vera jell aur 3 chamuch khopray ka tail mila lein. Agar baal lambay hon to inki miqdar mein izafa kar lein. Nahaanay se pehlay baalon ki jaron mein kuch der ke laga rehnay dein,iskay baad sir dho lein. Baal narm o mulaim aur chamak daar ho jaein gay.

* Ghungrale Baalon ke liye:

Zaitoon ka tail aur anday ka tail hum wazan mila kar rakh lein.Istemaal say pehlay 1chamuch oil lay kar 1chamuch neem garam pani mein mila kar lagayen aur 2 ghantay(2 hours) baad dho lein.

* Ganjapan door karnay kay liye:

Aadha kilo (1/2 kg) Nariyal (coconut) kay tail mein 1 choti piyaz, beta metha zone cream aadha chammach, Kalonji 1chamuch,sooraj mukhi kay beej 1chamuch,Methi daana 1chamuch,put sun ki jali hui bori 12 inch ka tukra, daal kar paka kar chaan (filter) lein.Thundaa honay par rozana istemaal karein aur phir herbal shampoo say dho lein.

No comments:

Post a Comment

Recommended for You!