Vagina Mein Shadeed Sozish Aur Kharish Ka Infection Kya Hai?
Vagina Mein Shadeed Sozish Aur Kharish Ka Infection Kya Hai?
Pregnancy Me Yoni Me Kharish Hona
|
اندام نہانی کی خارش کا علاج Vagina Sore and itchy After Sex
Bacha jan'ne ki salahiyat rakhne wali khawateen mein tanasli shadeed sozish aur kharish aam hain aur ye tanasali ilaqay mein qudrati taur par waqiya hone wale khameer kay jesy fungus ki bohat zyada barhotari se paida hoti hai jise Candida Albicans kaha jata hai.
Aam halaat mein Candida ki mamoli miqdar hamesha indaam nahani mein majood hoti hai andam nihani k tezabi mahol mein koi tabdeeli hoti hai to candid ki bohat zyada barhotari hogi aur khawateen k liye indaam nahani ki shadeed sozish aur kharish k infection mein mubtala hone ka bohat zyada imkan rahega.
Kya Andam Nihani Ki Shadeed Sozish Aur Kharish K Liye Ilaj Zarori Hai?
Zyadatar khawateen bilkul kisi alamat mein mubtala nahi hoti hain lehaza ilaj zarori nahi hai.Bohat kam khawateen ko andam nihani se mutaliq bimari ki alamat hoti hain jesy andam nihani se peela rang ka ya paneer ki tarah ka siyal nikalna aur iske sath farj mein khujli, vagina ki sujan ya phr jinsi taluq k doran takleef. Tashweesh Naak halaat mein farj, siyon aur jhaang k hisson mein sujan aur zakham ho sakte hain aur inke sath sath shadeed dard ho sakta hai.
Reham Ki Sozish Ki Alamat
Agar aap mein vagina ki candid infection ki nishaniyan aur alamaat hain to barah e karam general outpatient clinic ya private doctor se mashwara karen. Salah mashware k bad barah e karam munasib ilaj mualija k liye apne doctor ki hidayat par amal karen jesy vagina se mutaliq reham band muqami cream ya mun se li jane wali dawa.
Note: Ye ilaj k bad dobara bhi ho sakti hai.
Kya Mere Shareek e Hayat (Husband) Ko Kisi ilaj ki Zaroorat Hai?
Bimari ki alamaat se ghair mutasir shurka k ilaj ki taeed karne k liye koi saboot nahi hai agar aap k shohar ko bhi usi waqt bimari ki alamaat ho jati hain to aap dono mian biwi apna ilaj karwa kar aik dusre se hone wale infection ki rok tham karen.
Kya Koi Khatray Ki Baat to Nahin Khatre Kay Awamal Kya Hain?
Khawateen aur mardon k liye tanasali ilaqa mein istarah k khameer ki mamoli miqdar hona aam baat hai lekin aisay mutadid awamal hain jo inke phail jane ka sabab ban sakte hain.Wo Awamal Jo Candid K Bohat Zyada Barhne Ka Sabab Ban Sakte Hain In Mein Mandarja Zail Shamil Hain Ovary Me Sujan Ke Karan
- Aap antibiotics istemal kar rahi hain.
- Aap pregnant (hamila) hain.
- Aap sugar (diabetes) ki mareez hain.
- Aap ka nizam e mudafiat (immune system) mamoniyat ko kam karne wali kefiyat ki wajah se kamzor ho gaya hai jesy human immunodeficiency virus.
- Vagina mein khujli kharish ko kaisy roka ja sakta hai? Andam nihani ki sozish aur kharish ki rok tham kaise ki jati hai??
Vagina Ki Kharish Ko Rokne Ke Liye Aur Bur Mein Khujli Ko Rokne Ke Liye Chand Mufeed Tips Par Amal Karke Kharish Ko Rokne Mein Madad Mil Sakti Hai.
2. Naylon ki ya phir bohat zyada kassi hui underpant istemal na karen iski bajaye suti pant pehnain.
3. Apne andam nihani ko saaf karne ke liye antiseptics istemal na karen is se vagina ki skin mein sozish hogi aur jaraseem sozish wale hissay mein asani se infection peda karenge.
4. Pichkariya istemal na karen.
5. Khushbudar safai k pad perfume wale toilet paper ka istemal na karen.
6. Washroom se farigh hone k bad, farj ki taraf se peeche tak poonch lain. Is say aam taur par aap ki aant mein rehne wale bacteria ko aap ki choot mein jane se rokne mein madad mil sakti hai.
7. Tight phassi hui jeans na pehne aur koshish karen k apni vagina k andar bacteria dakhil na hone dain.
Khawateen k jismani masail k baray mein mazeed malomat k liye hanare facebook Women's Sexual Problems and Health Issues ko like karen.