Breast Cancer Information In Urdu
|
Breast Cancer Causes Breast Cancer Ki Wajoohaat |
Breast Cancer In Pakistan Awareness And Early Detection
( Breast Cancer ki Wajuhaat )
Chaati ke Sartaan ki drust aur 100% wajuhaat ka ilm abhi tak nahi ho saka, Lekin medical experts aur Research se ki bunyad par Scientists aisay bohat se awamil talaash kar chukay hain, jo ke kisi khatoon mein is beemari ki wajah ban saktay hain.In mein se kuch awamil insaan ke ikhtiyar se bahir hain, jaisa ke Umar mein izafa. Aur kuch insani ikhtiyar mein hain, jaisay Tambaku noshi, Sharab noshi, ya khoraak aur Lifestyle shaamil hain.Chaati ke Sartaan ki wajuhaat Darj zail hain:
breast cancer causes and effects in urdu breast cancer kyun hota hai?
1- Umar ka Talluq:-
Breast Cancer ka khatra Umar mein izafa ke saath barhta jaata hai. Jaisa ke 50 saal ya is se ziyada umar ki khawateen mein Iska khatra un Aurton se 8 gunaa kam hota hai, jinki Umar 30 saal ya is se kam hoti hai.Kuch Iqsam ke Cancer 80% tak 50 saal ya is se ziyada Umar ki aurton ko hi hotay hain. 35 saal se kam umar ki khawateen ko ye marz bohat kam hota hai. Siwae un aurton ke jinki Family ki History mein breast Cancer mojood raha ho.
2- Pehlay se bimari ki mojudgi:-
Agar kisi khatoon ko pehlay hi Breast Cancer ho, to is baat ka khatra bohat barh jata hai ke Iski Doosri Chaati bhi Iska Shikaar ban jaye.Isay aam tor par Naya Cancer ya Doosra Cancer kehtay hain.Mareez khatoon mein 20 saal baad Naya Cancer ya Doosra Cancer ka 10 se 15% imkaan mojood hota hai.
3- Family History:-
Aisy khawateen mein Breast Cancer ka khatra dugna hota hai, jin ke qareebi rishta daar yaani Maa,Beti, ya Behan mein Yeh bemari mojood ho.Yeh khatra us waqt 4 se 5 guna barh jata hai, agar rishta daron mein ye bimari Umar se pehlay hi lag jaye, aur dono Chaatiyan mutasir ho.Agar Family mein Nasl dar Nasl Yeh bemari rahi ho to phir bhi khatra bohat ziyada hota hai.
4- Genetic tabdeeli:-
5 se 10% Breast Cancer virasti hotay hain. Scientists kuch Iqsam ki Genetic tabdeeliyan aur Genetic mouawad ki mustaqil tabdeeli ko daryaft kar chukay hain.Jo insanon mein Breast Cancer ke khatray ko barhati hain.
5- Hormones :-
Aisy khawateen mein bhi Breast Cancer ka khatra barh jaata hai, jo lambay arsay se Generic Harmon's khaas tor par Estrogen ka saamna kar rahi hain. Lihaza un khawateen mein bhi iska khatra barh jata hai Jin mein pehli Mahwari 12saal se kam Umar mein aayi ho,Sunyaas der se huwa ho,Hamal na huwa ho,30saal ki Umar ke baad Hamal huwa ho,ya jo khawateen birth control ki medicine istemaal kar rahi ho.
Iskay elawa mazeed wajuhaat mein Der se shaadi aur zichgi, kharaab Lifestyle,Motapa,Chaatiyon ki bemaari, Shraab noshi, Radiations, maholiyati asraat, cigarette noshi, Asqaat e Hamal ya Abortion, jismani Qad aur wazan shaamil hain.
6- Maholiyati Asraat:-
Breast Cancer ki aik wajah Maholiyati aloodgi aur iskay asrat hain. Jo khawateen aisy jagah par rehti hain jahaan chemical ajzaa ka ikhraj hota hai unko bhi is marz ka 100% khatra ho sakta hai. iskay elawa faslon, kheton aur ghar mein keeray maar dawaaon ya spray ka istemaal bhi Breast Cancer mein izafa ki wajah hai.
7- Ghair Motwazan Ghiza:-
Khawateen mein Breast Cancer ki wajah unka apni khorak ka khiyaal na rakhna, aur Ghair motwaazin ghiza ka istemaal hai. Agar woh apni ghiza ka khayal rakhein aur to is bemari se Bach sakti hain.
8- Tight Libaas ka istemaal:-
Khawateen mein fitting libaas aur tight Brazier use karti hain.Foam,nylon,aur khaas tor par black rung ki Brazier ka istemaal bohat nuqsan deh hai.Kiyon black color sooraj ki roshni se aisy rays ko jazb karta hai, jo jild aur khaas tor par Chaati ki jild ke liye nuqsan deh hain. World institute of Ecology & Cancer ke mutabiq khawateen apni jisamat se choti aur tight Brazier pehanti hain.Jiski wajah se unki Chaati mosalsal ghutne se under zakhm ho jaate hain. Jo Breast Cancer ki wajah ban saktay hain.
9- Depression aur Blood Pressure:-
Experts ke mutabiq un khawateen mein Breast Cancer ke Chances ziada hotay hain, jo Depression ya Zehni tension ka Shikaar rehti hain.Aur jo har waqt khush rehti un mein Breast Cancer ke chances bohat kam hotay hain.Blood Pressure ki bimari bhi iski aik wajah hai.
10- Motapa:-
Ghizai be ehtiyaat aur Motapa bhi Breast Cancer ki aik bari wajah hai. Experts ke mutabiq Bhuna huwa Gosht ka ziyada istemaal jism ke under kuch khuliyon ko Active karta hai jo Motapay aur Cancer ke amal ko daawat detay hain.Kiyon ke bhoone huway Gosht ki charbi jism ke under tak jazb ho jaati hai.
11- Cosmetics ka istemaal:-
Khawateen mein Cosmetics products ka zyada istemaal Breast Cancer ki wajah hai. Experts Doctors ka kehna hai ke Cosmetics products ko der tak mehfooz rakhnay wala chemical pair a bans ki mojudgi Aurton mein Breast Cancer ki wajah ban rahi hai.